Thursday, September 4, 2008

Kuch Khamoshiyon me tumhe sunta hun...

Tum yahan nahi ho magar tumhari maujudgi ka mujhe ehsas hai
Nazar nahi aate to kya,mujhe tumhare wajood par vishwas hai.

Ret par letkar aasma se main aaj bhi baatein kiya karta hun
Sitaro ki mehfil me hi kahin tumhari jhalak dekha karta hun

Ugte suraj ki kirano me bhi mujhe tumhari chhavi nazar aati hai
Meri har subah ko wo roshni se sarabor kar jaati hai

Tanhaiyon me rehkar bhi main kabhi tanha nahi hota hun
Kuch kehta hun khud,kuch khamoshiyon me tumhe sunta hun

Yun to muskurane ko maine apni aadat bana liya hai
Tumhari yadon ko astitva ka mere hissa bana liya hai

Phir bhi kabhi achanak hi aankhen paani chalka deti hain
Zindagi ki kadvi sachaion se roobaroo karwa deti hain

Magar mujhe khona nahi hai,bikhar nahi jaana hai
Kisi ko zinda rakhne ki khatir mujhe bhi jeete jaana hai