Thursday, July 24, 2008

Is sach ko magar...

Har saher khud se tujhe bhool jaane ka wada kiya karta hun
magar dil hi dil me to tere laut aane ki dua kiya karta hun
Yun to chhod gayi teri kashti mera saahil kab ka
hawao se main phir bhi use mod lane ki umeed kiya karta hun

Tera saaya ban manzil tak saath chalne ki khwahish thi meri
waqt ki lehron  se bas itni si hi gujarish thi meri
aaj magar jab juda ho gaye hain hamare raaste is tarah
tere aks ko dil me basaye main din raat safar kiya karta hun

Wo haseen lamhe aaj bhi meri yaadon me chhaye hain
teri ek jhalak ko ab bhi dhundhti meri ye nigahen hain
Dariya ban tum to kab ki behkar ja chuki ho
Main to talab ka pani ban phir bhi tera intezar kiya karta hun

Aakhir kyun yun basant ke baad patjhar ka aana hota hai
kyun achanak khwabon ka tut kar bikhar jaana hota hai
jaanta hun ye ki har hasrat haqeeqat nahi ban pati
is sach ko magar roz jhuthlane ki koshish kiya karta hun...

3 comments:

shelly said...

This is gud 1 prateek (hope u dont mind me writing ur name )
keep it up
i like it!!!!

Unknown said...

i think, i the dark shadows og AHAMDABAD and B'lore serial blast, this i real worry for every family.
But , thats funda of life, we get to move and have to be strong for everything, thats upcoming.........

LIFE REALLY SUCKS....

Unknown said...

Ol i cn say is Hats off to u, n ur wrds really touchd...........wrds tuk me to diff world...