Ek anjaan paheli nahi main jise ki tum jaan na sako
Dhundhla nahi hai wajood mera ki tum pehchan na sako
karwatein badalti rehti hain lehren to kya magar
Gum nahi hote saahil yun ki tum unhe talash na sako
In Hawaon me yahan nahi hai asar abhi itna ki
Ret par mere kadamo ke nishan tum paa na sako
zindagi ki daud me kahin aagey nikal gaya hun main
Itna paraya to nahi ki aawaz de mujhe bula na sako
Ek pal ke liye hi, kabhi mera aks jehan me le aana
Ye koi aisa waada to nahi jise ki tum nibha na sako
Kabhi yaad bankar tumhari aankhon me umad bhi aau to
Itna ajeez bhi to nahi ki palkon me mujhe tum chhupa na sako
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment