Tuesday, August 19, 2008

Tere Sar Ka Badal Ban Jaane Ki Khwahish Thi..

Hai nahi koi khoobsurat wajah ki apne gunaho ko chhupa sakun
Labon pe muskurahat laun, palkon me aansu chhupa sakun

Main to manzar me hi gum ho gaya yun, kafila chalta raha manzil ki or
Ab to bas tanhai hai safar me, manzil ka na koi or hai no koi chhor

Kisi ka aaina ban jaana manzoor na tha, khud ka aks bhi par talash na paye
Tere sar ka badal ban jane ki khwahish thi, raaste ka darakht tak ban na paye

Ab to khamoshiyan bhi kar gayi kinara, hawa bhi mujhe sehlati nahi hain
Lehron se mera dostana kab tha, wo bhi dil ko magar dehlati nahi hain

Itni si gujarish hai waqt se ab meri, do naye pal zindagi ke paa to sakun
Chahe na de khushiyon ke saaz naye, yadon ke kuch nagme gunguna to sakun

2 comments:

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

ok who broke ur heart.:-).the poem starts with the poets ambitions and then its meaning is lost.